Shahid Ayub
January 12, 2016
0
Tuesday, January 12, 2016
Osy Rokty Bhi Tu Kis Liyay
Main tu Aashiq hun deewana na banana mujhko
Shahid Ayub
January 12, 2016
0
Kachi dewaar hun Thokar na lagana mujhko
Apni nazaron me Basa kr na girana mujhko
Tumko ankhon me tasavvur ki tarh rakhta hun
Dil me dhadkan ki tarh tum B basana mujhko
Baat karne me jo mushkil ho tumhe mhafil me
Main samajh jaoga nazron se batana mujhko
Waada utna hi kro jitna nibha sakte ho
Khuwab pura jo na ho wo na dikhana mujhko
Apne rishte ki nazaket ka bharm rakh lena
Main to Aashiq hun deewana na banana mujhko <3 ShAhiD <3
MUJHE BEHAD MOHABAT HAI
Shahid Ayub
January 12, 2016
0
Teray qadmo ki ahat se
Teri haseen muskurahat se
Teri batoon ki khushbu se
Teri ankhon k jadu se
Teri dil kash adaon se
Teri qatil Aadaun se
MUJHE BEHAD MOHABAT HAI
Teri rahon me rukne se
Teri palkon k jhukne se
Teray honton k hilne se
Sehar-o-sham hatton pe tera hi naam likhne se
Teray tesh-o-adawat se
Teri be-jaa shikayat se
Kahan tak kahun sanam mere
Teri har ek adat se
Mujhy Behad Mohabbat Ha...ShAhiD...
Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din
Shahid Ayub
January 12, 2016
0
Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din
Lagta nahi tha us ka dil mere bin
Dosto se kaha karta tha wo b,
Kiya ye b ji sakta hai mere bin
Mazaq ban jaya karta tha jo Doston mein
khud ko tanha samjta tha wo mere bin
Isse hade diwangi kahoon ya pagalpan
tasawar me wo batein kiya karta tha mere bin
Wo mosmoon k badlny se darta nahi tha lekin
bahar mein murjhaya karta tha mere bin
Ab As tot gain uske aani ki
Lagta hai Jina sekh chuka hai mere bin...
Mohabbat hum ne ki jo ik khata hogai
Shahid Ayub
January 12, 2016
0
Mohabbat hum ne ki jo ik khata hogai
Ki wafa or zindagi saza hogayi,
Wafa kerte rahay hum ibadaton ki tara
Phir ibadaat khud ik gunah ban gayi,
Kitna suhana tha safar jab sath thay hum
Phir kiya howa kyon manzil juda hogayi,
Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi
Wo gaya tu laga dunya fana hogayi,
Ye dua ki ke jisay chahe wohi milay osay
Par ye dua apne liye bad dua hogayi,
Abhi kuch dair howi usay yaad karte howay
Ye aaj kyon itni jaldi subah hogayi
Ki wafa or zindagi saza hogayi,
Wafa kerte rahay hum ibadaton ki tara
Phir ibadaat khud ik gunah ban gayi,
Kitna suhana tha safar jab sath thay hum
Phir kiya howa kyon manzil juda hogayi,
Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi
Wo gaya tu laga dunya fana hogayi,
Ye dua ki ke jisay chahe wohi milay osay
Par ye dua apne liye bad dua hogayi,
Abhi kuch dair howi usay yaad karte howay
Ye aaj kyon itni jaldi subah hogayi