kitni mushkil se kati kal ki meri raat
na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat
na pooch
wo kis adaa se merey saamnay se guzraa
abhi
kis tarha mainay sambhaley merey
jazbaat na pooch
waqat jo badley to insaan badal jaatey
hain
kya nahi dikhlaatey yeh
gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey
khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se
haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar
diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey
maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch
bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki
kayenaat na pooch>>>ShahiD<<<
No comments:
Post a Comment